‘My first statement was the truth, so was everyone’s’

TRANSCRIPT 5: SHIV DAS
TEHELKA: Hello shivdas ji
SHIV DAS: haanji madam
TEHELKA: Main sabreena lal bol rahi hoon, apko sorry main pareshan kar rahi hoon, mera dimag kharab ho raha hai. subah uthati hoon, roj subah wohi akhbar mein wohi khabren padhne ko milati hain.
SHIV DAS: madam,. Main kya kar sakta hoon, aap khud hi socho
TEHELKA: Das minute ke liye meri tasalli ke liye nahin mil sakte hain
SHIV DAS: Aap mere ko phone pe jo bologe, main aa nahin sakta, I am sorry.
TEHELKA: Kyon nahin aa sakte shivdas ji
SHIV DAS: Ab dekh lo ma’m, main waise hi busy admi hoon. Mujhe humdardi hai lekin mere haath ke andar kuch nahin hai, aap samajh sakte ho. Meri bhi mushkilen samjho na aap.
TEHELKA: Aap itne kyon dare hue ho shivdas ji
SHIV DAS: madam darna padta hai jab kya karein
TEHELKA: kaun dara raha hai aapko shivdas ji
SHIV DAS: aapko sab pata hai, tabhi to main apse mil nahin sakta, aapko sab pata hai. main kuch nahin kar sakta aapke liye, batao.
TEHELKA: Aap khud socho, dekho maine bahan khoi hai na.
SHIV DAS: mujhe pata hai, lekin mere hath mein kuch nahin hain, main kuch nahi kar sakta madam. Main chota admi jab bade bade log kuch nahin kar paa rahe hain to main kya karoon. Aap khud socho na. Aap meri jagah hote to kya karte.
TEHELKA: yehi to problem, bade bade log na
SHIV DAS: haan to bas wohi hai na, jab bade bade log aise kar rahe hain, jab koi nahi aata to aisa kuch hota hi nahin. Jo pahle witness humne di, jo witness humne di wo actually right hi thi. Aur kisi ko kuch karta nahin to yahi hota hai
TEHELKA: Shuru mein aapne bhi police ko sach baat batayi thi
SHIV DAS: Wo to sabko pata hai kisne kya kara hai kisne kya nahin.
TEHELKA: Kya kara hai, main to thi nahi
SHIV DAS: Lok laaj ke log hain hum kaise kar sakte hain
TEHELKA: Us raat main to nahi thi, aap the
SHIV DAS: Tha to, bata to rahan hoon, kuch nahin kar sakta main
TEHELKA: To itna dhamka rahe hain aap sabko
SHIV DAS: Madam, aisa kuch hota tabhi to kuch kah rahe koi admi, aise kisi se koi darta hai kya
TEHELKA: Kya kah rahe hain aapse
SHIV DAS: Main kuch nahin janata kya kehte hain, lekin main apki koi madad nahi kar sakta hoon itna janta hoon
TEHELKA: insaniyat ke khatir
SHIV DAS: insaniyat ke khatir bata to diya. Insaniyat pehle wo log dikhayein phir main bhi dikha sakta hoon, aisi koi dikkat nahi hai.
TEHELKA: Apne aapko kyon unse compare kar rahe hain
SHIV DAS: Compare to karna hi padega na
TEHELKA: Kyon
SHIV DAS: Ab apko sab pata hai, sari situation pata hai, phir aap mere se pooch rahe ho
TEHELKA: apne pehli paar police ko sahi sahi bataya na ki manu Sharma hi the
SHIV DAS: madam wo to sabne hi bataya hai, maine kya bataya lekin aap dekh lo na, maine bol diya na aapko
TEHELKA: kya
SHIV DAS: main aapki koi madad nahin kar paaonga.
TEHELKA: meri tasalli ke liye, meri bahan ke liye, kuch to aap bol sakate ho, aap mil bhi nahin sakte ho.
SHIV DAS: milane ka kya fayada, jab main aapki koi madad hi nahi kar sakta to. Milane se to kuch hoga nahi
TEHELKA: hua kya tha wahan
SHIV DAS: wo aapko pata hi hai
TEHELKA: Aap the na shivdas ji main nahin thi na
SHIV DAS: the to madam wahan dedh do sau log the, yeh bhi pata hai aapko
TEHELKA: apne kya dekha tha
SHIV DAS: jo dekha tha maine statement de di thi
TEHELKA: phone pe thodi statement doonga
TEHELKA: Phone pe kya khatara hai aapko
SHIV DAS: nahin phone pe kya khatara hoga
TEHELKA:ek baar meri tasalli ke liye, batayiye, mera dimaga kharab ho raha hai
SHIV DAS:madam aapko sab pata hai, kyon pareshan kar rahe ho aap
TEHELKA: main paershan nahin kar rahi hoon. Main aapse koi ummeed nahin kar rahi hoon. Pehle to karan rajput baat kar lete the mujhse, ab wo bhi nahi rahe
SHIV DAS: unko kya hua
TEHELKA: unka dehant ho gaya na
TEHELKA: aapko nahin maloon
SHIV DAS: main to gaanv gaya hua tha na madam. Mere ko pata nahin
TEHELKA: aapka koi talluk nahin hai kisi se
SHIV DAS: mujhe to pata nahin. Kal apne father se poocha tha karan rajput ko kuch aisa hua tha, unhone kaha unki to death ho gayi
TEHELKA: Wo mere paas aate rehte the. Agar aapko madad chaihiye the aap mere pas kyon nahin aaye
SHIV DAS: mere ko madad nahin ki hai madam, main jahan hoon khush hoon. Na aap ye karna ki maine kisi se kuch liya hai. logon ki thinking hai ki shivdas ne kuch liya hai lekin aisa kuch nahin hai. bhagawan ka diya itna hai ki kha pee sakte hain, gaanv mein bhi kheti veti hai, aisi baat nahin hai. hum UP ke rehne wale hain aapko pata hai. yeh aap batein samjho. Baat yahan ki nahin hai. dilli to main ek minute mein chod doonga. Poora karobar UP mein hi hai. phir. Meri situation aap nahin samajh rahe ho na.
TEHELKA: Sirf dar ki wajah se kar rahe hai jo
SHIV DAS: ab sara khul ke thodi hi bataonga aapko, bata diya, samajhdar ko ishara hi kafi hota hai.
TEHELKA: mujhe batane mein kya hai, main thodi hi gawahi de rahi hoon.
SHIV DAS: Itna bata diya, main UP mein rehta hoon. Bas itna bata diya, samajh jaoge aap.
TEHELKA: UP mein unke bahut karobar hain, yehi kah rahe ho aap.
SHIV DAS: Aap samajh sakte ho UP ki situation. Bihar aur UP ko to aap janate ho. Daily akhbar padhte ho, news padhte ho. Humara poora khandan wahin rehta hai. humari kheti baari wahi hain. yahan to ek minute mein thoda bahut property bechkar chale jaenge.
TEHELKA: aapke rishtedaron tak pahunch gaye hain wo log
SHIV DAS: madam, kya bataen aapko
TEHELKA: ek bahan ki tasalli ke liye kuch to batao, tumko shanty mile aur roj mujhe yeh dikkat na ho.
SHIV DAS: main itna hi bata sakta hoon, baki isase zyada kuch nahih bata sakta hoon
TEHELKA: us din raat ko hua kya tha
SHIV DAS: yeh mujhe nahin pata. Statement maine de di ho court mein, ab yeh jane aur
TEHELKA: Police ko ek baat kahi hai , court ko doosri kahi hai na
SHIV DAS: madam sabne kahi hai, maine kya kahi hai
TEHELKA: theek hai, karan to rahe nahin, shayan to badtameez nikale
SHIV DAS: shayan munshi se pooch, wohi bataega aapko
TEHELKA shayan munshi kahan the us din
SHIV DAS: unse pooch kahan the, phone pe ye baate main kar bhi nahin sakta
TEHELKA: apne bare mein to bata sakte ho shivdas ji
SHIV DAS: madam kya bataon apne bare mein
TEHELKA: apne bhi to statement badli na
SHIV DAS: maine kaun si statement badli madam
TEHELKA: police ko jo kaha tha aur jo court mein kaha to usme antar tha na shivdas ji
SHIV DAS: andtar to sabme tha. ab police kya likhati hai kya nahin likhati kisi ko bata ke thodi likhati
TEHELKA: par dekha tha na apne manu ko
SHIV DAS: madam main aisa kuch nahin kah sakta
TEHELKA: kamal kar rahe ho shivdas ji meri bahan mari hai
SHIV DAS: main samajhata hoon, mujhe hamdardi hain, lekin main kuch nahin kar sakta
TEHELKA: itna kya dar hai sivdas ji
SHIV DAS: Meri jagah aap hote to pata lag jata
TEHELKA: nahin to kya kehte hain wo aapse
SHIV DAS: mere ko kuch nahin pata, mere ko koi kuch nahin kehta bas. Rakh do
TEHELKA: aisa mat karo
SHIV DAS: rakh do
TEHELKA: insaniyat ke nate to mere se baat kariye
SHIV DAS: Kar tio raha hoon. Jo mere layak hoga to main zaroor karoonga. Mere ko feeling hai lekin. Doshi hai to sazaa milni chahiye magar main kuch nahin kar sakta.
TEHELKA: pichali baar bhi jab maine phone kiya tha, jo apne kaha tha marne wala kaun hai sabko pata hai, pata to hai hi
SHIV DAS: Apko pata hai, sabko pata hai
TEHELKA: aapko bhi to pata hai na, main to nahin thi us din
SHIV DAS: madam phone pe aisi baat nahin honi chahiye, doosri baat hai main aapki koi madad nahin kar sakta. Baaki mere se koi ummeed bhi mat karna
TEHELKA: phone pe nahin honi chahiye to amne same kar do
SHIV DAS: aage se phone mat karna, tang bhi mat karna
TEHELKA: ek baar mil lo aap
SHIV DAS: mujhe milna nahin, mujhe bahut tension hai, main kya karoon
TEHELKA: kyon shivdas ji, bachche wale ho isliye
SHIV DAS: bacche ho gaye teen chaar. Bachchon ko dekhe ki case ko. Kabhi crime branch wale bulate hain, kabhi police wale, hum to pareshan rehte hain
TEHELKA: tang karte hain crime branch wale
SHIV DAS: sab karte hain, koi chodta hai
TEHELKA: kya kah rahe hain aapse
SHIV DAS: le jaate hain uthake, jab marji aaya, humne hi kara wo murder aise wo baat karte hain
TEHELKA: aap kya kehte ho unase
SHIV DAS: kuch nahin madam
TEHELKA: unase kya kahte ho
SHIV DAS: aage se aap phone na karna please. Bas kya fayada aisi baaten karne ka
TEHELKA: police station mein to aapne saaf bata diya tha apki majboori hai. main yeh thodi kah rahi hoon aap statement badlo, main yeh thodi kah rahi hoon. Main khali insaniyat ke naate pooch rahi hoon kya dekha tha us din aapne
SHIV DAS: madam yeh to sabko pata hai, aap kisi se bhi pooch lo
TEHELKA: aapse se bhi to pooch rah hoon na abhi
SHIV DAS: main kuch nahin bata sakata hoon
TEHELKA: aap khud hi kah raha hain ki sabko pata hai ki marne wala kaun hai
SHIV DAS: sorry mam phone kat do aap, aise thodi hota hai, main aapko situation di phir bhi aap tang kar rahe ho
TEHELKA: mere se zyada aap tang hain batao
SHIV DAS: agar aapko lagata hai ki main gunaahgar hoon to mere ko hi udwa lo
TEHELKA: bahan gayi meri, meri maa gayi, phir mera baap gaya
SHIV DAS: main bhi akhbar padhta hoon daily, mujhe sab pata hai, kya kar sakta hoon batao aap
Low state ko bologe ki high ko jaa ke kar de to main kaise karoon batao, mere level ka hota to main kar bhi deta, main kya kar sakta hai, mere haath main hai kuch, main to 3000-4000 ruapaya kama raha tha, naukri chali gayi, main to usase bhi badtar ho gaya, ab mere ko sau dedh sau kamana mushkil ho raha ha roj ka. Upar se log tane marte hain ki paise kha liye yeh kar liya wo kar liya. Itna hota to main fareedpur mein kyon raha ghatiya colony ke andar. Main bhhi kahin VIP mein jakar rah leta na.
TEHELKA: aapka koi fayada nahin hua to kyon ade hue ho usi pe
Sab kya kya batao main aapko madam
TEHELKA: us din raat mein kya hua
SHIV DAS: mujhe nahin pata ji. Maine batana tha bata diya, ab kuch nahin lena
TEHELKA: apne kya dekha tha
SHIV DAS: maine kuch nahin dekha
TEHELKA: manu Sharma ko goli marte dekha na aapne
SHIV DAS: nahin dekha
TEHELKA: pahli statement mein aapne kaha hai
SHIV DAS: jo maine de diya wohi theek hai
TEHELKA: wo to aap isliye kah rahe dar ki wajah se
TEHELKA: wo to aapne kah hi diya hai ki main majboor hoon, main UP mein rehta hoon
SHIV DAS: UP mein to main rehta hi hoon mam
TEHELKA wo to aap kah hi rahe ho na shivdas ji ki aapape bahut dabav hai
SHIV DAS: maine to aisa nahin kaha mam
TEHELKA: nahin aap yeh kah rahe ho na ki aap samjho ki main UP mein rehta hoon
SHIV DAS: aisa kuch nahin hai, meri koi majboori nahi hai
TEHELKA: main samajhati hoon aapki majboori, aap bhi bachche wale hoon, pehle karan rajput se baat kar lete the, ab wo nahin hain to maine socha ek baar apse, kam se kam. Us din hua kya tha rat ko
SHIV DAS: Madam sabko pata, poor statement dikha chuke hain tv par, 6 saal ho chuke hain is baat ko. Aap yahi sawal baar baar pooch rahe ho. Yeh aapko bhi pata hai. phir main aapko dohraon yeh aachcha nahin lagata.
TEHELKA: wo to pata hi hai
SHIV DAS: aap mujhase wohi sawal pooch rahe ho
TEHELKA: manu Sharma ne hi maara tha ye to sabko hi pata
SHIV DAS: main to aisa nahi kah raha
TEHELKA: sabko to yahi pata hai na
SHIV DAS: sabko pata hoga, main to nahin kah raha na
TEHELKA: pahle statement mein to apne yahi kaha shivdas ji
SHIV DAS: jo maine court me statement di wohi meri statement hain, police ki statement mujhe nahin pata
TEHELKA: kyon aap itna dar rahe ho. Aap khud kah rahe ho meri majboori hai
SHIV DAS: kat do phone
TEHELKA: mil loge 10 minute ke liye
SHIV DAS: nahin madam pahunch ke kya baat karoonga. Mil ke bhi main kya karoonga. Main kuch bhi nahin kar sakta.
TEHELKA: baar ke paas kaun kaun tha
SHIV DAS: maine to dekha hi nahi
TEHELKA: aap kaha the
SHIV DAS: main chat pe tha